Rishtey bhi
galiyon ki tarah
Milti hai aur milvaathi hai
Kabhi pathli, kabhi moti.
Bachte bachate hue
Idhar udar, yahaan wahaan
Kuch naye anubhav dilathi hai
Rishtey bhi
Galiyon ki tarah
Kabhi chupke
aur kabhi sandesh ke Saath
Muddke jati hai
ek doosare se takraathi hai
Bichadbi jati hai
Aur phir pata hi nahi chalta
Kaunsi gali kis taraf chali gayi.
Rishtey bhi hai galiyon ki tarah
Bachte bachate, idar udar, yahaan wahaan.