Wednesday, October 7, 2020

Ajeeb log

na jaane kaise ajeeb log hai woh,
unse baat hone se hi tanhahi cha jati hai

agar mein kuch kahoon toh
woh samajte hain 'bohut bholti hai yeh!'

agar mein kuch bhi na kahoon toh,
woh samjthe hain 'bohut ghamandi hai yeh!'

darr lagtha hai kabhi, is duniya walon se
har din jeene ka bhi dhum ghutha hai mera

kya sab k sab aise hi hai is duniya mein?
ya phir mere rishthedaar hi hai itne ajeeb?

shaadi k pehle maine aise kabhi mehsoos nahi ki,
maa-baap, bhaiya, behen, dost, in sab se apnapan mehsoos hua

isi tarah toh samajthi hoon mere sasooral k logon ko bhi,
meri parvaar se inti door jo hoon, sirf mere pathi hi hai meri ek sahara. ache hai woh!

Mere saas, sasoorji bhi achche hai. kam se kam unki baatein mein kataas nahi hoti
unke rishthedaar, jo mere bhi risthedaar bangaye.. woh.. kyon aise hai?

kuch logon se toh hamare itne kareeb rishta bhi nahi hain,
par kyon aise taang hadathe hai? kator baatein bholthe hai?

shayad mein unko pasand nahin hoon? !!
ya phir mein unko ghalat samajrahi hoon? !!

jho bhi ho par dardh hoti hai unki baaton se, harkatoon se.
darr lagti hai un logon se milne ko, baat karne ko.

kyon hai itne ajeeb yeh log? kyon?



No comments: