Thursday, May 15, 2014

Butter Chicken song (the chikni chameli way)

kitchen k yeh khana, badi swadist  si banegi
ek barthan mein tum lena, murgh, dahi,  kashmiri mirchi bhi

Hey..
kitchen k yeh khana, badi swadist  si banegi
ek barthan mein tum lena, murgh, dahi, kashmiri mirche bhi
Note ab karle tum, usme dalo ab nimbu pani .

Aaayi  chickeni Makhanni.. banke rasilee, Tandoor mein pakh k aayi. (3times)

Marinate ab isko karni toh hai, rakhde fridge mein gante k liye,
Tab tak hum ko yeh makhani gravy ghazab ki banani hai
Sauce pan rako sim flame pe, makhan usme 2 full spoons k
adrakh, lasang, kasuri methi, namak, mirchi b dale
tamatar ka ras bhi, sarson ka tel bhi,
tamatar ka ras bhi, sarson ka tel bhi
nimbu ka ras milake pakne de zara
itni sari flavours se, yeh swadist toh banne wali

Aaayi chickeni Makhanni .. banke rasilee, Tandoor mein pakh k aayi. (3times)

Dakhan laga k pakhne de, gravy lal rang ki honi jo hai,
chicken ko bahar nikal k fridge se, tandoor mein paka lenge
non stick tandoor pe sarson ka tel, aur chicken ke pieces lagade uspe
tandoori chicken pak jayegi aadha gante mein
yeh chicken k pieces ko, gravy mein dalna hai,
yeh chicken k pieces ko, gravy mein dalna hai,
dalke pandra minute pakne de zara
garama garam isko, roti k saath kahiyee..
yeh toh recipe hai, ab mein photo dikane wali

Aaayi  chickeni Makhanni.. banke rasilee, Tandoor mein pakh k aayi. (3times)

No comments: